Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2) Mai tera din bachaunga, Ay mere nana, Mai apna khoon bahawunga, Ay mere nana, Husain jaata hai marne, Salaam ma ke mazaar Meri sharike safar ban-ke, Saath chal amaa, Safar pe jaata hu kapde, Mere badal amaaLibaaz-e-khuld sajaa de, Badan pe phir ek baar Dua karoo koyi sar be-rida na ho amaa, Namaze zoh-ke shahadat, Kazaa na ho amaa, Na aye mere chaman pe, Sitam ki gardo gubar Diye jalane ko nana, Tumhare roze par, Zuroor ayegi Sugra, Har ek sham-o-sahar, Khuda kare rahe roshan, Sada tumhara mazaar Tumhare jaisa hai nana, ye mera laal Akber, Dua karoo na lage isko, Asmaan ki nazar, Lute na door watan se, Hamare dil ka karar Tamaam phool se bache hai, Aur garm hawaa, Hamare khoon ki pyaasi hai, Foje Zulmo jafaa Safar me koi shajar bhi, Nahi hai saaya adaa Ha-ek phool to aisa hai, Jo khila bi nahi, Na paye pani tho kar sakta, Wo gila bhi nahi, Wo jisko dek-ke aati, Hai dood ki mehkar Meri sakina kaha aur, Rasan ke bandh kaha, Zamin garm pe chalna, Use pasand kaha, Kadam wo phool se nazook, Wo raaste purkhar Challa me waada nibhaane Sallam ma ke mazaa Salaam nana ke roze, Salaam ma ke mazaar (2) ***********************
HAAY JAB MADINE SEY CHALA Kafla karbobala, Tha ye sughra ke labo par nawha (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x3 Apne hamraah suwe karbobala (Ley chalo baba, mujhe ley chalo baba) x2 Apki yaad me roro ke mei marjawungi. Baba akbar ki kasam chain nahi pawungi. Meri saso ka bharosa na raha Kaflay walo ko pani bhi pilawungi mai. Apni aghosh me asghar ko sulawungi mai. Baba ye apse wadaa hei mera Mere kano me jo awaaz azaan ayengi. Mere akbar ki muje yaad bohot ayengi. Bhayi ki yaad na ban jaye qazaa. Kaise akbar ke bina Eid guzarungi mai. Kabhi tumko kabhi amu ko pukarungi mai. Jab koi paas na honga baba Dhoop aur garm hawa hongi safar me dekho. Apne aachal me chupalungi ali asghar ko. Yu na asghar ko karo mujse judaa Khwaab Akbar ki urusi ke bohot dekhe the. Khaak hojayenge ay baba sab armaan mere. Dil yahi soch ke rota hai meraChacha Abbas aur Sakina phuphi zainab se. Akhri baar mila do muje baba sabse. Phir ye bimar nahi dengi sadaa Bhaiya Abid ko dawaa roz pilawungi mai. Unki raho me nigaaho ko bichawungi mei. Tum kanizo ki tarha behr khudaa Acha mehmil me muje tumna bithaana baba. Tum muje raah me peydal hi chalaana baba. Na karungi me shikayat na gilaa. Maine manaa ke nahi kaam mera manzar mei. Baba itna to batado ke akele ghar mei. Zindaa rehpayengi sughra tanha Apne ham rahe suwe karbobala (Ley chalo baba, muje ley chalo baba) x2 ***********************
mana ke tum sath nahi ho mere dil ke pass nahi ho maine yeh mana phir bhi aas lagi dil me tun aaogi
Ya Hussain, Ya Hussain Ya Hussain, Ya Hussain Mein jhoola jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon Mein Khuwaab mein Asghar tujhay, Lori bhi sunaoon Tujhay Jhoola Jhulaon, Mein Tujhay Jhoola Jhulaon Laut Aoo safar sey ke badi deyr huwi hay Betaab hu kabsey tujhay seenay sey lagaoon Koi Mujhay Butlata Nahi teri Nishani Barsaat mein teeroon ki kahan dhoondnay jaon Socha tha teri saalgirah ghar mein karoongi Taqdeer yeh kehti hay tera soug manaoon Baba sey teray tera Janaza na uthaiyga Ruk ja zara Abbas ko dariya sey bulaon Yeh Khoo-mein bhara kurta, yeh matti mei-bharay baal Seenay mein chupaon ke mein aankhoon sey lagaoon Iss tarha Koi root ke maa sey nahi jata Tu Khud-hi bata dey mein tujhay kaisay manaoonREHAN ke Nohay sey sada baano ki ayee Mein aankhoon sey askhkoon ke samander ko bahaoonMein Khuwaab mein Asghar tujhay Lori bhi sunao Tujhay Jhoola Jhulaon Mein Tujhay Jhoola Jhulaon ***********************
Jab fauje kirdigar mei koyi nahi bacha Ruksath ko aaye khaime-mei shehen-shaey karbala Pohunche khaya-me zainab-o-kulsoom ke kareeb Awaaz di behan ko aur Shabbir ne kaha ZAINAB FEEAMANALLAH ZAINAB FEAMAANALLAH Ab aakhri fareeza-ye khaliq bhi ho ada Mai marne ja-raha hun tumhe kehke alwida Lashkar me koyi baki nahi hai mere siva Koyi sipahi fouje udo ka nahi raha Ab mera janasheen hai sajaad be-khata Rehna hai uske saath tumhe bade karbala Din bar to meine lasho pe lashe uthaey hai Na-jane kitne zakhm kalaije pe khaye hai Ab akhri salaam ko khaime-mei aaye hai Zakhmo ne dardo-ghamne mujhe kar diya nid-haal Mai katl hone wala hu iska nahi malal Reh-rehke beridayi ka ata hai ab khayal Rakhna khayal meri Sakina ka ay behan Soyegi kaise khak ke bistar pe pur mahan Royegji jab-bhi yaad use ayega watanYe kehke al faraaq chale shahe behro bar Nikle kaman zulm se O teer aur tabar Ki khamaey haram ki taraf akhri nazar Ghoday se khak pa-giray sultane karbala Tathir ro rahi thi tadap ne lagi kisa Jalti zami pe sajda kiya aur yeh kaha MAZHAR ajeeb waqt tha Zehra ke laal par Manzar ye dekhti thi behan sar ko pit kar Ye keh ke suwe khuld kiya shah-ha ne safar ***********************
YE MAI HU MAI, MERI TANHAYI. YE TAMAASHAYI. Lo ayi gyaara muharram hai. Kya khabar layi. Chali hai janibe zindan tumhari maa jayi. Sawaar ham ne kiya tha tumhe mere bhaayi. Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2) Utho Hussain bahan ko zara sawaar karo (2) Sawar humne kiya tha, tumhe dame rukhsath Lagaam thaamI thi maine, bahaa labe rikath Kahaa gayi wo muhabath, kahaa gayi chahath Amama apna mere sarpe, saaya baar karo (2) Watan se door hu kuch aur, door jaati hu, Utho utho mere bhaiya, tumhe jagaa thi hu, Koyi bhi aata nahi mai, jise bulaa thi hu,Qaraar do mere mujko na, bekaraar karo (2) Safar Madine se kaisa tha, ye safar kya hai, Na mehmilay hai-na haudaj, na koyi parda hai, Hai sar pay khaak ye karbobala ka sehra hai, Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2 Dare furath-pe, ay sown-e-waale jaag zaraa, Alam ke saaye me rukhsat, bahen ko kar bhaiya, Suna hai sakth katin hai, ye sham ka rasta, Behen ye raasta abbas se, naamdaar karo x2 Mein awoongi mere bhaiya, zaroor awoongi, Kafan udawungi markad, tera banawoongi, Jahaa bhi jawoongi farshe, azaa bichaawoongi, Mein khaid kaat ke lout awoo, intezzar karo x2 Ab awo ya mujhe kehdo na intizaare karo (2) Na jee sakungi tere baad, etebar karo x2 Utho hussaine bahan ko zara sawaare karo (2) ***********************
TAR KHOON MAIN HUWI HAIDER KI JABEEN YUN ROTAI HAIN JIBREEL-E-AMEEN Yeh Taig Chali Kis Kai Sar Par Zakhmi Huwai Sajdai Main Haider Kyun Hilnai Laga Hai Arshai Barin Karti Hain Azanai Wawaila Masjid ka sehan hai farshe Aza Haider kai lahu sai tar hai zameen Kyun rozai daar pai zulm kiya Tu nai binai muljim yeh to bata Shak ho gayi kyun moula ki jabeen Hasnain kai sar sai saya uta Maghmum huwi Kaabe Ki Faza Markad main Nabi ko chain nahin Wo shahai arab wo shere Khuda Woh nafsai Nabi wo dastai Khuda Kyun taig chalai dushaman-e-deenZainab pai yateemi chaayi hai Masjid sai khabar yeh aayi hai Lo qatl huwa kaabe ka makeen Abbas tadap kar rothe hai Rukh-sath mere moula hote hain Haider ke lahu se tar hai zameen REHAN Bichao farsh-e-aza Ghar ghar se ute matham ki sada Is gham ki kissi ko tab nahi ***********************
Jibreel nawha padte hai (Maray gaye Ali x2) Maula-e-kayinat pe talwaar chalgayi, maray gaye Ali Masjid udaas mimbare (kufa udaas hai x 2) Tar khoon me khuda ke (wali ka libaas hai x 2) Rota hai asmaan zamin ghamse phat gayi,mare gaye AliMasjid me rozadar pay (kaysa sitham huwa x2) Kaabe se aa rahi hai sadaa (wa musibatha x2) Ghamse nabi ki kabr bhi ab kaampne lagi,mare gaye Ali Haay haay yateem Shabbar-O-(Shabbir hogaye x2) Abbas dilko thaamke (rote huwe chale x2) Sarse ridaaye Zainab-o-Kulsum girgayi, mare gaye Ali Duniya mei bekasoon ka (sahara nahin raha x2) Uthra tha jo falak se (sithara nahin raha x2) Arshe bareen pe farshe azaa aaj bichgayi, mare gaye Ali Maula mera jo khoon me (apne naha gaya x2) Bole farishte haye ye (kaisa sitham huwa x2) Uriyain ye roke kehti thi duniya ujadgayi,mare gaye Ali Zahra lahad me rothi hai (Haider ke waste x2) Kehti hai cheyn kabr ke (andhar nahin mujhe x2) Bacho pe mere ghamki ghata aajc hhagayi, mare gaye Ali REHAN mere saath me (rone lagaa kalam x2) Aankho se mere jaari (huwe ayse ashke gham x2) Chalte huwe kalam ke mere saas rukh gayi, mare gaye Ali ***********************
FATHEMA ZEHRA (2) YA ZEHRA (4) Ay meri bibi (2) Tere dar pe isteghasa hai,Tera mamnoo meri shehzaadi ye jahan sara hai Tu hame hifz or amaan de-de, Apni chadar ka sa-ebaan dede, Teri kudrath me kya nahin bibi, Tu jise chahe do jahaan dede Ay meri bibi (2) Aansu-o ne duwa mangi hai, Teri tasbee hi padke dil ne tujhe pukaara hai Tera darbar O sakhi dar hai, Har farishta jahan-ka dagar hai, Tere makrooz asmaan waale Tera makrooz har sikandar hai Ay meri bibi (2) Tu sakhi hai tere bache bhi, Ek raahi nahi gawaahi me jag ye saara hai Farshe majlis pe aur musale pa, Har jawan keh raha hai ro-rokar Ham rahe na rahe magar bibi, Ta qayamat rahe game sarwar Ay meri bibi (2) Tere bacho ka gham mana-te hai, Apni awlaad se kahi badke gham ye pyara hai Karz makrooz ka adaa karde, Muflisoon ka naseeb wa karde, Jinki goudi bhari nahi bibi Unko awlaad tu ataa karde Ay meri bibi (2) Bas tuhi muraad dethi hai, Teri chawkat dare ilahi ka isti-araa haiFarz momin se gham juda karde, Bas ghame karbala ata karde Be khataa kayd me hai jo momin, Moujize se unhe rihaa karde Ay meri bibi (2) Gham koyi hussainiyo ko na de, Jo hussaini hai tere baba ko jaan se pyaara hai Un shahedo ka ye mukadar hai, Sayiban inka teri chadar hai Unke sino pe ay meri bibi daghe matam nishaane haider hai Ay meri bibi (2) khuld me shaheed jab jaye, Teri awaaz aaye aane do ye hamaara hai Majlise gham me ashk barsane, Aasake ya nahi khuda jaane, Kya bharosa hamari sanso ka, Ab kaha ham kaha aza khane Ay meri bibi (2) Ashke gham teri amaanath hai, Teri awlaad ke hi gham-ne hame sawaara hai Tujko umat ne yu sataya hai, Marghe mohsin pe bi rulaya hai Tujko baba ke baad ummat ne, Haye darbaar me bulaya hai Ay meri bibi (2) Kitne sadme utha hai tune, Jeete-ji tujko meri shehzadi gham ne maara hai Ay meri bibi (2) tere darpe sar jukaate hai, Har hussaini ka tere tuk-do pe hi guzaara hai *********************** 2ff7e9595c
Comments